"Ek lafzi ghalti" "Jiski durustgi lazim hai"
Main ne kisi baat ke jawab mein " Inshallah " likha, to kisi sahib ne mujhe kaha: Lafz "Inshaa Allah" nahi hota, balke ye " In Sha Allah " hota hai… In dono lafzon ke alag alag ma'ni hain.
Main unki baat par bohot hairan hua.
Phir main ne apne ilm ke mutabiq unhein kaha ke maine falan soorat mein aise hi likha dekha hai, aap kaise keh sakte hain ke yeh ghalat hai?
Unhon ne mujhe wazaahat di, lekin maine kaha: "Main khud is par tehqeeq karunga."
Khud se tehqeeq ki to saabit hua ke wo sahib sahi farma rahe the.
Lafz "Inshaa" jiska matlab hai "Takhleeq kiya gaya."
Lekin agar "Inshaa Allah" ka matlab dekha jaye to matlab banta hai "Allah takhleeq kiya gaya" (Na'oozubillah).
Is baat se saaf zahir hai ke lafz "Inshaa" ko lafz "Allah" ke sath likhna bilkul ghalat hai.
Iske liye Quran ki kuch ayat hain, jin mein lafz "Inshaa" akela istemal hua hai:
1. "Wahuwa allazee anshaa lakum assam'a waal-absara wal-af'idata qaleelan ma tashkuroon." (Surat Al-Mu'min, 78)
2. "Qul seeroo fil-ardi fanzuroo kaifa badaa al-khalqa thumma Allah yunshiu annash'ata al-akhirah inna Allah 'ala kulli shai'in qadeer." (Surat Al-Ankabut, 2
3. "Inna anshaa nahunna insha'an." (Surat Al-Waqi'ah, 35)
In ayat se saaf zahir hai ke "Inshaa" ke sath kahin "Allah" nahi likha gaya. Kyoon ke yeh lafz alag ma'ni rakhta hai.
Lafz "In Sha Allah" jiska matlab hai: "Agar Allah ne chaha."
" In " ka ma'ni hai "agar." " Shaa " ka ma'ni hai "chaha." " Allah " ka matlab "Allah ne."
To saabit hua ke lafz "In Sha Allah" hi durust hai, jaisa ke kuch ayat mein bhi wazeh hai:
1. "Wa inna in shaa Allah la muhtadoon." (Surat Al-Baqara, 7
2. "Wa qala adkhuloo Misra in shaa Allahu amineen." (Surat Yusuf, 99)
3. "Qala satajidunee in shaa Allahu sabiran wa la a'see laka amran." (Surat Al-Kahf, 69)
4. "Satajidunee in shaa Allahu mina assaaliheen." (Surat Al-Qasas, 27)
In ayat se saabit hai ke lafz "In Sha Allah" ka matlab hai "Agar Allah ne chaha."
Angrezi mein yoon likha ja sakta hai: "In Sha Allah."
Sadaqa-e-jaariyah ke taur par is maloomat ke farogh ke sath duaaon ki bhi darkhwast hai.
@Mohammad Wasim
#winluckydraw #muslimlifepro