17 w ·Translate

‎🌸*اَلسَّلاَمْ عَلَيْــــــــــــــــــــكُمْ وَ رَحْمَةُ اللہِ وَبَرَكَاتُهُ*🌸

🌷*HAQ KI BAAT HAQ KE SATH*🌷

‎‏ 📚*Hadees*📚

‎ 🌺*ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ* 🌺

حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ يُوسُفَ ، أَخْبَرَنَا مَالِكٌ ، عَنْ سُمَيٍّ مَوْلَى أَبِي بَكْرٍ ، عَنْ أَبِي صَالِحٍ ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، قَالَ : مَنْ قَالَ :
_*لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَحْدَهُ ، لَا شَرِيكَ لَهُ ، لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ ،*_
فِي يَوْمٍ مِائَةَ مَرَّةٍ كَانَتْ لَهُ عَدْلَ عَشْرِ رِقَابٍ ، وَكُتِبَتْ لَهُ مِائَةُ حَسَنَةٍ وَمُحِيَتْ عَنْهُ مِائَةُ سَيِّئَةٍ ، وَكَانَتْ لَهُ حِرْزًا مِنَ الشَّيْطَانِ يَوْمَهُ ذَلِكَ حَتَّى يُمْسِيَ ، وَلَمْ يَأْتِ أَحَدٌ بِأَفْضَلَ مِمَّا جَاءَ بِهِ إِلَّا أَحَدٌ عَمِلَ أَكْثَرَ مِنْ ذَلِكَ .

रसूलुल्लाह ﷺ ने फ़रमाया, "जो शख्स दिन भर में 100 मरतबा ये दुआ पढ़ेगा:
_*लाइलाहा इल्लल्लाहू वह्दहू, ला शरीक लहू, लहु-ल-मुल्कु वलहु-ल-हम्दु व हुवा 'अला कुल्लि शै'इन क़दीर*_
'नहीं है कोई माबूद, सिवाए अल्लाह के, उसका कोई शरीक नहीं, मुल्क उसी का है और तमाम तारीफ़ उसी के लिए है, और वह हर चीज़ पर क़ादिर है।' तो उसे दस ग़ुलाम आज़ाद करने के बराबर सवाब मिलेगा। सौ नेकियाँ उसके नाम-ए-आमाल में लिखी जाएंगी और सौ बुराइयाँ उससे मिटा दी जाएंगी। उस रोज़ दिन भर ये दुआ शैतान से उसकी हिफाज़त करती रहेगी। यहां तक के शाम हो जाए और कोई शख्स इस से बेहतर अमल लेकर ना आए, मगर जो इस से भी ज़्यादा ये कलमा पढ़ ले।"

Rasoolullah ﷺ ne farmaya, "Jo shakhs din bhar mein 100 martaba ye dua padhega:
_*Lā ilāha illā Allāhū waḥdahū, lā sharīka lahū, lahū-l-mulku walahū-l-ḥamdu wa huwa ‘ala kulli shai’in qadīr*_
'Nahīn hai koi mabood, siwaye Allah ke, uska koi shareek nahīn, mulk usi ka hai aur tamaam tareef usi ke liye hai, aur woh har cheez par qadir hai.' Toh usay das ghulam azaad karne ke barabar sawab milega. Sau nekiyan uske naam-e-aamaal mein likhi jayengi aur sau buraiyan us se mita di jayengi. Us roz din bhar ye dua shaitaan se uski hifazat karti rahegi. Yaha tak shaam ho jaye aur koi shakhs is se behtar amal lekar na aaye, magar jo is se bhi zeyada ye kalma parh le."

رسول اللہ ﷺ نے فرمایا ” جو شخص دن بھر میں 100 مرتبہ یہ دعا پڑھے گا
_*لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَحْدَهُ ، لَا شَرِيكَ لَهُ ، لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ*_
 ” نہیں ہے کوئی معبود ، سوا اللہ تعالیٰ کے ، اس کا کوئی شریک نہیں ، ملک اسی کا ہے ۔ اور تمام تعریف اسی کے لیے ہے اور وہ ہر چیز پر قادر ہے ۔“ تو اسے دس غلام آزاد کرنے کے برابر ثواب ملے گا ۔ سو نیکیاں اس کے نامہ اعمال میں لکھی جائیں گی اور سو برائیاں اس سے مٹا دی جائیں گی ۔ اس روز دن بھر یہ دعا شیطان سے اس کی حفاظت کرتی رہے گی ۔ یہاں تک کہ شام ہو جائے اور کوئی شخص اس سے بہتر عمل لے کر نہ آئے گا ، مگر جو اس سے بھی زیادہ یہ کلمہ پڑھ لے ۔

Allah's Apostle ﷺ said, If one says 100 times in one day: 
_*Lā ilāha illā Allāhū waḥdahū, lā sharīka lahū, lahū-l-mulku walahū-l-ḥamdu wa huwa ‘ala kulli shai’in qadīr*_
None has the right to be worshipped but Allah, the Alone Who has no partners, to Him belongs Dominion and to Him belong all the Praises, and He has power over all things (i.e. Omnipotent)  , one will get the reward of manumitting ten slaves, and one-hundred good deeds will be written in his account, and one-hundred bad deeds will be wiped off or erased from his account, and on that day he will be protected from the morning till evening from Satan, and nobody will be superior to him except one who has done more than that which he has done. 

*Wazahat 

🔹 *Ghulam azaad karne ka sawab Usay das ghulam azaad karne ke barabar sawab milega. Is ka matlab ye hai ke is dua ki itni azmat aur barakat hai ke ek Musalman jo ise parhta hai, usay wahi sawab milta hai jo kisi ghulam ko azaad karne se milta hai, jo ke Islam mein ek azeem neki samjhi jati hai.

🔹 *Nekiyon ka izafa Uske naam e aamaal mein 100 nekiyan likhi jayengi. Yani Allah Ta’ala is dua ki barakat se bande ke aamaal naame mein nekiyon ka izafa farmata hai.

🔹 *Buraiyon ka mit jaana 100 buraiyan uske naam e aamaal se mita di jayengi. Is se ye zahir hota hai ke is dua ko padhne se bande ke gunah maaf ho jate hain.

🔹 *Shaitaan se hifazat *Ye dua din bhar Shaitaan se uski hifazat karti rahegi. Yani is dua ki barakat se Shaitaan ke waswase aur bure khayalat bande par asar nahin kar payenge, aur woh Allah ki panah mein rahega.*

🔹 *Sab se behtar amal Din ke aakhir tak koi shakhs is se behtar amal le kar nahi aayega, siwaye us ke jo is se zyada ye dua padh le. Ye is dua ki fazilat aur ahmiyat ko bayan karta hai ke ye Allah Ta’ala ke nazdeek bohot azeem amal hai.

Ye hadees hume ye sabaq deti hai ke Allah ki ibadat aur uski wahdaniyat ka zikr karna na sirf hume deeni lehaz se buland karta hai balki humare dunyavi aur ukhrawi maamlaat mein bhi kamiyabi ka zariya banta hai. Is dua ko apna mamool banana chahiye taa ke hum bhi in inaamaat se mustafeed ho saken.

📚 _*Sahih Bukhari: jild 4, Kitab bad-al khalaq 59, hadith no. 3293*_
🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸
💐جزاك الله خيرا💐 •••~~~•••~~~•••~~~•••~~~•••~~~•••~~~•••

Favicon 
chat.whatsapp.com

आपला ब्राउज़र अपडेट करा