Rasool Allah ﷺ ne farmaya:
Kaun aisa shakhs hai jo mujh se in kalimaat ko sun kar unpar amal kare, ya aise shakhs ko sikhaaye jo unpar amal kare?
Abu Hurairah (RA) kehte hain:
Maine kaha: “Allah ke Rasool! Main ye kaam karunga.”
To Rasool Allah ﷺ ne paanch baatein ginke batayi:
1. “Haraam cheezon se bacho, tum sab logon se zyada abid (ibadat guzaar) ban jaoge.
2. Allah ki taqseem ki hui rozi par raazi raho, tum sab logon se zyada be-niyaaz ban jaoge.
3. Apne padosi ke saath ihsaan karo, tum pakka sachcha momin ban jaoge.
4. Doosron ke liye wahi pasand karo jo apne liye pasand karte ho, tum sachche Musalmaan ban jaoge.
5. Zyada mat hanso, kyunki zyada hansna dil ko murda kar deta hai.
(Tirmizi: 2305)